Fan Fiction

BIJWARITRI LOVE TRIANGLE!! (Part 2)

So the day had not been a pleasant one for ishwari….she had been dancing like a pendulum between her boyfriend bijoy and die hard lover khatri…. And to top it all her dad had announced that the dixits will be coming to see her for the marriage tomorrow…. Poor ishwari had been thinking the whole day about what she should do ….when suddenly it dawned upon her that she had not informed bijoy about the marriage…?

Ishwari could not call him as she never had a phone in her home (as we know she got the first one when dev had bought it)….and I guess the telephone would have been the luckiest coz ishu maate had never touched it..? kyunki Ishwari toh paras hai….Jo bhi chhooti hai….gobar ?…nahi nahi ….halwa ban jaata hai…haan bhai!?….she could not even write a letter bcoz…….Yeh toh aapko pata hi hai….❎
.?❎
Ishwari’s POV:

Kya karu Kuch samajh nahi aa raha….Bijoy se pyar toh karti hu but nikkamme ke paas koi kaam dhandha bhi toh nahi hai….papa kabhi nahi maanenge……?…..khatri se toh meri jooti bhi na byaahe….??….par agar woh raaz sable saamne aa gaya toh?…..na na ishwari ASAL SE SOOD PYAARA HOTA HAI….raaz gaya tel lene…..apne bhavishya par dhyan De………
(Can’t marry bijoy…he has no job….will never marry khatri…..but what if the secret’s out……no no ishwari …you better focus on your future)

Next day morning was as usual as any other morning just that ishwari looked prettier than ever in her pink saari….(PWR..kahin ki ?)….she went to prepare tea for the guests….when the doorbell rang…..yes the dixits had arrived..

( hereon I would address Mr dixit as sasur ji…SJ …Mrs. Dixit as saasu ma…SM….and dulhe raja as….pati dev…..PD)

Dad: namaste dixit sahab…aayiye…
SJ: namaste tripathi ji….kaise hai aap?
Dad: hum toh theek hai….aapko koi dikkat toh nahi hui ghar dhoondne mein..
SJ: arrey bilkul nahi….par ek ajeeb baat Hui….. Raaste mein humne baccho se poocha ki tripathi ji ka ghar kaha hai ….toh bacche bolne lage…..haan chaliye aapko MAA ke ghar le chate hai aisa kyun?
Dad: Arre woh bacche toh aise hi….??
SM: Arre bhaisaab aap dono baat hi karte rahenge yaa hamari bahu se milwaayenge bhi

Dad: Arre ha….ishwariiiiiiii……aaja beta….

Ishwari brings in tea for everyone…

I: namaste…
SM: Haaye kitni sundar hai hamari bahu…?
I: aunty ji bahu nahi…main maa hu…
SM: MAA???….bhaisaab aapne bataya nahi ki aapko beti maa hai…..iski shaadi ho chuki hai ….Kahi Iska pati Isse chhod ke toh nahi chala gaya…..Yeh vidhwa toh nahi…..kaha hai Iska baccha…..

Dad: Arre Nahi nahi…aapko koi galat fehmi ho gayi hai….Yeh toh iski aadat hai bas ….khud ko maa bolne ki ….hamari beti toh bas 20 baras ki hai…….

SJ, SM, PD…”.Badi ajeeb aadat hai”??

SM: Koi baat nahi beta…aadato ka kya hai….banti badalti rehti hain….(inhe kya pata PWR kitni dheeth hai….kabhi nahi badalegi)
Toh beta batao kya shauk hai tumhaare…
I: ji Mujhe halwa banana pasand hai…aur kachori banana pasand hai….aur baate banana toh bahut hi pasand hai….
SM: Ghar grihasti ke baare mein Kuch jaanti ho?
I: ji mere hisaab se toh….

” PARIWAAR PED KI TARAH HOTA HAI..
PYAAR PAANI KI TARAH HOTA HAI…
SACH MITTI KI TARAH HOTA HAI….”

JAISE EK PED KO BADHNE AUR PHALNE PHOOLNE KE LIYE MITTI AUR PAANI KI ZAROORAT HOTI HAI…….WAISE HI EK PARIWAAR KI SUKH SHAANTI KE LIYE PYAAR AUR SACCHAI KI ZAROORAT HOTI HAI……TABHI PARIWAAR KI JADE MAZBOOT REHTI HAI…….hashhh….??( no translation needed I guess?)

PD:??????
SJ:?????
SM: ???…..waah beta kya vichaar hai tumhaare ……bhaisaab hum apni taraf se rishta pakka karte hai…..aapko beti toh sundar hone ke saath saath….beyhad sanskari bhi hai…..humare ghar ki bahu ishwari hi banegi…..ISHWARI DIXIT……ji haan…..(we love your daughter…. She is now our daughter….ISHWARI DIXIT)
??????

Dad: badhai ho badhai ho…..hum aur aap Samdhi ban gaye……leejiye muh meetha keejiye…….(Yeh so finally we are in laws now….have some sweet)

Ishwari’s POV:
Bakra toh phans gaya par in do macchi ke kaato ka main kya karu???

****in the evening****
Bijoy gets to know about Ishwari’s alliance with dixits and comes to question her about the same….

B: ISHWARI Yeh main kya sun raha hu…
( want is it that I hear ishwari….)
I: agar kaan mein chameli ka tel daal chuke ho…..toh Jo sun rahe ho sach sun rahe ho…
(If you’ve put some jasmine oil in your ears then what you’ve heard is right)
B: Ishwari tum kisi aur se shaadi kaise kar sakti ho….you love me right??
(How can you marry some other guy….you love me right)
I: I love Sunny (Leone??)….aur dixit ke paas sunny hai….toh main Ussi se shaadi karungi…..
(I love only sunny….and he has sunny so I’ll marry him only)
B: Arre jab dixit ke paas sunny pehle se hai toh tum kyun uski sautan banne ja rahi ho….?
(When he already has sunny why do you wanna maary him)

I: main kisi ki sautan nahi ban rahi …..galti tumhari hai …tumhare paas naukari nahi hai….isliye sunny bhi nahi hai…..toh mujhse shaadi karke …Mujhe khilaoge kya….bolo….hai koi jawab?…( you don’t have a job….you don’t even have sunny…..what are you gonna feed me ha?)
B:naukari?….sunny?…..khilaoge???……oohhh…..tumhara matlab hai……MONEY……hey bhogobaan……( oh god….you mean money???)
I: ab samajh gaye na….Chalo niklo mere ghar se…..hash….hurrr… …phut…..(you’ve got it right….so just get lost)

B: ishwari itni beizzatti….. Itna bada dhokha……Yeh pyaar ka naatak….main kabhi nahi bhoolunga……sarvanash …..sarvanash…..hoga…..dekh Lena……tumhara pati…..kabhi tumhare saath khush nahi rahega…..Yeh shraap hai mera………sorvonaaaaaaash….???????? (I curse you….you never gonna be happy with him)

I: huh….aaya bada shraap dene waala….aaj tak apne padosi ko cheeni toh Di nahi hai…..bada shraap dega…..chikchikoy…. (Huh….could never even give a bowl of sugar to the neighbors and here he comes to gimme a curse…ass)

Later in the evening when ISHWARI was sitting in her balcony…. Sipping her evening tea….she heard someone singing…..

TU MERI HAI PREM KI BHASHA….
LIKHTA HU TUJHE ROZ ZARA SA….
KORE KORE KAGAZ JINPE BEKAS…
LIKHTA HU YEH KHULASA…
(Ishwari sees its khatri singing)
TUMSE MILE DIL MEIN UTHA DARD KARARA….

I: haan haan…karara toh abhi thappad lagega tere muh pe….khatri….phir Jo dard hoga na ….Uspe gaana likh ke sunana sabko….samjha….chal phoot yaha se…(wanna get a tight slap on your face or what …..just get lost)

K: are ishu tu toh naraz ho gayi…..kya hua….koi aur gaana sunau kya….bol…bol…(you wanna listen to some other song)

I: gaana toh ab tu meri shaadi pe gaana……orchestra waale ka paisa bhi Bach jaayega….(you better reserve your singing talent for my wedding)

K: ohh….heroine…. Tu uss juice can se shaadi kar rahi hai…..baap maan gaya tera? (Are you getting married to that juice can..
.your dad agreed?)

I: main kisi aise waise ladke se shaadi nahi jar rahi ……dixit hai….mera hone waala pati ….bahut ameer hai….Teri ya us choohe bijoy ki tarah nahi hai samjha…..(I’m getting married to a rich guy not a lay man like you ppl)

K: dekh ishu tu aisa nahi kar sakti warna woh chhote bakse waala raaz…..(you can’t do thus ishu otherwise your secret will be out)

I: woh chhote bakse waala raaz se main nahi darti….ja bata De jise batana hain……main nahi darti Tujhse khatri…..(I’m not scared of that secret anymore khatri)

K: tu bhugtegi ISHWARI….galti kar rahi hai tu Mujhe mana karke…..bhugte gi tu…..yaad rakhna…….(you’ll have to pay for this Ishwari)
****

—END OF PART 2—

Share
Published by