Fan Fiction

Devakshi FF – My Love, My Strength (Chapter 1)

Without further delay, here I present you the very first chapter of my FF

MEHRA MANSION

In drawing room:
Sona & his father.
Sona: “Please dad! Maan jaaiye na. Please… Ab to mujhe office join karne deejiye. Ab to maine apni MBA bhi complete kar li, wo bhi bohot acche marks ke saath.Apni university mein top kiya hai. Ab to main eligible bhi hoon. Is baar to aap mujhe bilkul bhi mana nahi kar sakte. You know na dad, I really want to help you.” said Sona making a puppy face.

Shekhar : “Sona beta! Tum jaanti ho na ki meri zindagi mein sirf tum hi to ho, jiske liye main jeeta hoon. Tumhara chehra dekh ke hi to meri poori thakaan door ho jati hai. Tumhari kabhi koi aisi khwahish nahi hai, jise maine poora na kiya ho. Lekin beta! Ye baat main nahi maan sakta. Kyunki… beta main chahta hoon ki tum pehle apni zindagi ko khul ke jeeyo. Wo sab kuch karo, jo tumne aaj tak nahi kiya. Tum ek bohot hi acchi beti ho.lekin mujhe bhi to ek accha father banana ka mauka do. Main itni jaldi tumhare kandhe par zimmedariyon ka bojh nahi dalna chahta. Kaam karne ke liye to poori zindagi padi hai. Ye sab tumhara hi to hai. Aage chalke tumhe hi to sambhalna hai.

Abhi to tumhe enjoy karna chahiye. Aur waise bhi…bohot jald Ekena ki shaadi hone wali hai. Tum uske saath time spend karo. Office mein main sab sambhaal lunga.
Samjhi meri Gudiya…”

Hearing all this Sona was considering herself very lucky and was thanking God for giving her such a caring & loving father.
Sona: “I Love you Dad!”

Shekhar: “Love you too mere bacche.”

And then sona left for her room after giving hug to her father.

Sona’s Room
Sona talking on phone with her best friend Elena.
Sona : “Ele yaar! Dekh na, dad nahi maane. Wo chaahte hain main apni life ko enjoy karun.” (in a sad tone.)

Elena : “Sona! Pehle tu mujhe ek baat bata.”

Sona : “Hmm”

Elena : “Tu normal insaan hi hai na!”LOL

Sona (making an annoying face) :” Kyun ? Main tujhe alien lagti hun kya?”

Elena : “Baaton se to alien hi lag rahi hai na. tujhe khud uncle ne bola… Jaa beta, ghoom phir, maze maar… or tu hai ki teri sui to bas mujhe kaam karna hai’ par hi atki hai. Kon believe karega ki tu itne bade businessman Mr. Shekhar Mehra ki beti hai. You are totally impossible Sona.”

Sona : “Uda le tu, jitna mazaak udana hai…
Lekin jab tu chali jaayegi, I will really miss you.”

Elena : “Sona! Ab tu itni senti baaten na kar. Rulayegi kya mujhe…”

Sona : “To tu shaadi hi kyun kar rahi hai. Us Vicky ne pata nahi kya patti padhai hai tujhe. Jo tu uske liye hum sabse door jaane ko bhi ready hai. US jana zaroori hai kya …usey bol yaa to Delhi mein hi shift ho jaaye … yaa tu kisi Delhi waale ladke se shadi kar le.”

Elena was laughing hearing her friend’s childish behaviour.
Elena : “Pagal ladki! Aisa thodi na hota hai. You know Sona, main or Vicky ek dusre se kitna pyaar karte hain.”

Sona : “Haan! Haan! Bohot hi acche se jaanti hoon. Ab apna ye pyar puraan band rakh…
Ele! Ek baat bata, aur sach sach batana …Tu sach mein kya Vicky se itna pyaar karti hai, jo uske liye hum sab se itna door jaane ko ready ho gayi.”

Elena : “Sona! Haan yaar, bohot pyaar karti hoon. Pyaar to cheez hi aisi hai. Jab tujhe hoga na, tu tab samjhegi…”

Sona : “Ye pyaar vyaar tu apne tak hi rakh. Mujhe nahi iske chakkar mein pagal hona. Tu hi ek pagal kaafi hai.”

Elena : “Sona! Dekh lena. Jab tujhe pyaar hoga, tu mujhse bhi badi pagal banane wali hai. Bet laga le.”

Sona : “Rehne de. Mujhe tujhse baat hi nahi karni.”
Saying this Sona cut the call.

Elena, on the other side : “I wish! Sona tujhe tera Prince Charming bahut jald mil jaaye.”

Sona : “Kya mujhe bhi kabhi pyar hoga? Meri life mein bhi esa koi aayega, jo meri life mein pyar ke rang bharega?”

How was it?
Give reviews

Share
Published by