Thank you so much guys for your encouragement.
So Here I present you the next chapter.
ISHWARI NIWAS
Inside kitchen, a lady cooking & in a few minutes, she comes out. She is Ishwari Dixit.
Ishwari : “Dev! Neha! Ria! Nikki! Kitni der lagaoge? Aa jaao beta, naashta Thanda ho jaaega.”
Neha, Ria, Nikki (together) : “Hum aa gaye!” (with a smile)
Ishwari : “Aa gayi meri bacchiyan! (smiles) Par ye Dev kahaan reh gaya. Humesha aisa hi karta hai. Ek baar kaam mein kho gaya, phir to aas paas ka khayal hi nahi rehta usko. Betha hoga apne us laptop ko leke.”
Here comes our hero.
Dev : “Maa! Aa to gaya. Kaam kar raha tha. Abhi thodi der mein meeting hain. Bas usi ki tiyaaari kar raha tha.”
Ishwari : “Jaanti hoon, kaam mein hi laga hoga. Har waqt kaam mein hi to laga rehta hai. Beta kabhi apne aap ke liye bhi waqt nikal.”
Neha : “Maa! Ek tareeka hai.”
Ria : “kaisa tareeka Neha di?”
Neha : “Hamare liye Bhabhi le aao. Fir dekhna kaise bhai ka dhyaan kaam se hat ta hai.”
Nikki : “Waah! Neha di, kya idea diya hai. Haan maa! Ab to bhaiya ke haath peele kar hi do.”
(Everyone laughs at her)
Dev : “Tu pagal hai Neha!Maa iski baton pe dhyaan mat de.”
Ishwari : “Kya galat kaha Neha ne. Main bhi is baare mein soch rahi thi. Dev ab samay aa gaya hai, tujhe shaadi kar leni chahiye.”
Nikki, Ria : “Yay! Bhaiya ki shaadi.”
Dev : “Kya tum sab. Mujhe ye shaadi vaadi ke jhanjhat mein nahi fasna.
Ab chalo naashta karen, mujhe late ho raha hai.”
They finished their breakfast. And after that, everyone went to their respective works.
IN MEHRA MANSION
Sona’s phone rung. Caller Id flashes Elena’s name.
Sona : “Haan Ele! Bol.”
Elena : “Sona! Kya bol. Tujhe yaad nahi, hum aaj milne waale the. Main kab se tera wait kar rahi hoon.”
Sona : “Oh! No. Mere dimag se kaise nikal gaya.”
Elena : “Khoyi hogi tu apne Prince Charming ke sapno mein. Ab jaldi aa.”
Sona : “Haan! Nikal hi rahi hoon. I’ll be there in 15 minutes.”
How was it?