Hello guys!
I’m back with the second episode of my ff – Ishqbaaz Diaries. Thanks for such an appreciation on the 1st episode. I hope all the silent readers are enjoying my ff as well. So, let’s begin.
Recap: Wedding arrangements in Oberoi Mansion. Introduction of Oberoi brothers.
Happy Home Chawl:
There is a small house in the chawl near the Maa Durga temple. In the house a boy is sitting and watching TV. There is a person sleeping on the bed.
Boy: Yeh Bua bhi na… hamesha soyi rehti hai. Aur saara kam didi ko karna padta hai.
Girl: Sahil… Tumhe kuch chahiye?
Sahil: Nahi Anika didi… Main theek hoon.
Anika is in the kitchen preparing lunch. After cooking she goes into the room. She goes to the study table and sees a book. She opens the book and starts writing.
Hi Chamki,
Mujhe pata hai ki tum mujhse gussa hogi kyunki main tumse bahut dinon so baat tak nahi ki. So, here I am. Aaj bahut hi khaas din hai. Kyunki main aaj ek interview ke liye jaa rahi hoon. Agar mujhe yeh job mil gaya na toh Sahil ko ek bahuti achi school mein daloongi. Main apne saare karz bhi jhuka doongi. I hope mujhe yeh job miljaaye. Milega na? Mil hi jaayega. Main toh Anika hoon na. Theek hai ab mujhe late ho raha hai. Mujhe chalna chahiye. Aane ke baad phir baat karte hain.
Bye.
She closes the book and goes out of the room.
Anika: Sahil, maine sab kuch prepare karke kitchen mein rakh diya hai. Khana kha lena.
Sahil: Theek hai didi.
Anika: Mujhe der ho rahi hai. Mein chalti hoon.
Sahil: Okay didi. All the best.
Anika: Thanks Sahil. Take care. Bye.
Sahil: Bye.
She drives away on her scooty.
Oberoi Mansion:
Jhanvi and Pinky are discussing about the wedding arrangements.
Pinky: Sagai ke liye toh do hi din baki hai. Kaise hoga sab kuch?
Jhanvi: Haan Pinky. Time toh bahut hi kam hai. Aur toh aur yeh designers bhi sab busy hai.
Pinky: Par jiji… hamare prinku hai na.
Jhanvi: Nahi Pinky. Usne kaha na ki usse fashion show ke liye prepare karni hai. Aise mein usse time kaise milega.
Pinky: Jiji… aap bhi na. Mein abhi usse poochti hoon.
Jhanvi: It’s okay, Pinky. Koi na koi mil jayega. Usse extra burden kyun dena.
Voiceover: Kya burden badi mom.
They both turn back and find a beautiful girl standing there with some papers in her hand.
Jhanvi: Prinku…
Pinky: Lo aa gayi.
Priyanka: Aap kis burden ki bat kar rahi hai.
Pinky: Woh kya hai na ki…
Jhanvi: Pinky…? Kuch nahi beta. Hum bas arrangements ki bat kar rahe the.
Priyanka: Ooh… Waise maine bhai aur honewali bhabhi ke liye kuch wedding dresses ki designs prepare ki hai. Ek baar aap dekhiye na.
Jhanvi: Kya… Par tumhe toh apni fashion show ke liye prepare karna tha na?
Priyanka: Kya badi mom. Main dono kar sakti hoon. Waise bhi apne bhai ke liye mere paas time nahi hoga toh kiske liye hoga?
Pinky: Dekha jiji. Maine aap se kaha tha na ki woh karegi.
Jhanvi: Theek hai beta. I just didn’t wanna put more burden on you. That’s it.
Priyanka: Aap aisi baatein mat kijiye. Main apne bhai ke liye kuch bhi kar sakti hoon.
Voiceover: AUR HUM TUMHARE LIYE!!
All three of them turn to find Shivaay, Om and Rudra coming downstairs.
Priyanka: Bhayya…
She runs to them and hugs them three.
Shivaay: Kya karne ki baat chal rahi hai?
Priyanka: Kuch nahi bhayya. Mein wedding dresses design kar rahi hoon. Bas.
Om: Acha.
Rudra: Iska matlab wedding mein dulha aur dulhan stand out karenge.
Shivaay: Rudy… Shadi mein dulha, dulhan nahi toh kya tum stand out karoge?
Rudra: Bhai… Aap mauka hi doondthe rehte ho na… mujhe embarrass karne ki?
Om: Mauke ki kya zaroorat hai. Tum khud hi apne aap ko embarrass karte ho.
Priyanka: Shivaay bhayya, Om bhayya… aap dono hamesha mere Rudra bhayya ko chedthe rehte ho. This is not done.
Rudra: Hain na Prinku…
Priyanka: Haan. Rudra bhayya ko sirf mein hi ched sakti hoon.
Rudra: Prinku… Tum bhi. Aap sab na mere bhai, behen nahi dushman hai. Dushman.
All of them laugh and have a fun family time.
Temple:
Anika gets down at the temple. She goes in and prays to god.
Anika: Pls bhagwan ji. Mujhe kaise bhi karke yeh job mil jaaye, bas. Atleast, thoda madad ho jaayega. Pls.
She takes the prasad and goes out. She starts her scooty and drives off.
Oberoi Mansion:
Shakti and Tej come down after getting ready for office. They greet everyone.
Shakti: Sab yaha kya kar rahe hai?
Shivaay: Just discussing about the marriage arrangements.
Tej: Office chale?
Shakti: Yeah.
Shivaay: Sure.
Dadi comes from her room in a hurry.
Dadi: Ek minute.
Shivaay: Dadi… kya hua?
Om: Ha Dadi. Aap itne jaldi mein kyun hai?
Dadi: Woh mere friend ki poti Mumbai aa rahi hai MBA karne. Yaha woh kisiko nahi janthi. Isliye meine kaha ki woh hamare saath hi rahe.
Shivaay: Yeh toh aapne bahut acha kiya.
Dadi: Haan, par usse lene koi station jao na.
Shivaay: Dadi mujhe office mein important meeting hain. Mujhe jaana hoga. Om tum ja sakte ho kya?
Om: Nahi Shivaay. Mujhe woh statue complete karna hai. Rudy hai na woh jaayega.
Rudra: Main?
Dadi: Tum free hi hona. Toh usse leke aao na beta.
Rudra: Par Dadi… Rudy, the great Rudra Singh Oberoi station jaayega? Usse laane?
Dadi: Haan…
Rudra: Dadi..?
Om and Shivaay: Rudy, just shut up and go pick her.
Rudra: Fine… going.
They all go to their respective destinations.
Precap: Anika, Shivaay meet and fight. Rudra, Soumya meet in the station. Sagai in Oberoi Mansion.
So guys, here goes the second episode. Do read and comment – positive and negative. Any feedback is appreciative. Tell me any scenes u want me to put. I’ll pick the most interesting or twisted ones and include them in my ff. Hope u guys like this episode. Keep showering ur love.