KRPKAB detailed written analysis for 26th August, 2016
Dixit House –
Ishwari sitting on dining table. Just then Sona enters.
Sona – Aunty ji…
Ishwari looks at her shockingly and gets up. Sona comes in. Ishwari is hell shocked.
Sona – Aunty ji, aapki tabiyat ab kesi hai ?
Ish (finds very difficult to speak but somehow manages) – thik hai.
Sona – Aunty ji, mera yahan kuch reh gaya hai….wahi lene aayi hoon…
Ish – ????????
Sona – maine apni payal….drawer mein rakhi hogi shayad
Ish feels relaxed.
Ish – haan….le lo.
Sona tries to find but does not get, ish comes from behind.
Ish – tumhara saman mila ?
Sona – Nahi, mujhe lagta hai…..sach mein kho gaya….wese Dev…. I mean Mr. Dixit kese hain..unki tabiyat kesi hai?
Ish – Dev thik hai…sab kuch thik hai……tum yahan payal lene nahi aayi thi na…..shayad tumne payal yahan chhode bhi nahi thi.
Sona – maine piche kuch nahi chhoda aunty ji…ab mera yahan kuch bhi nahi hai
Ish – Agar janti hi ho ki tumhara yahan koi bhi nahi…matlab kuch bhi nahi….to phir kyun aayi ho yahan? Dev se milne ?
Sona – agar Dev ki car parking mein hoti, to main andr bhi nahi aati.
Ish – tumhare aur dev ke beech mein jo kuch bhi hua….. uska hum sab ko dukh hai…. Par tumhe zindagi mein aage badhna chahiye… jaroori nahi ki sari kahaniyan puri ho…. Kuch kahaniyaan adhuri bhi reh jati hain…. Mujhe dukh hai ki jo tum chahti thi wo nahi hua… par….
Sona(interupts) – par…aap jo chahti thi, wo huaa na…
Ish speechless.
Sona – Aap chahti thi ki Dev aur main ek naa ho… aur ab hum ek nahi hai…
Ish(struggling for words) – mera beta itna bada hai ki apne faisle khud le sakta hai.
Sona(sarcasticly) – aapka beta itna bada nahi ho payega jo khud ke faisle le jo aapko pasand na ho…..
Sona rocks…….Ishwari shocks…..!!!
Ish(shamelessly) – tum yahan meri parvarish par ungli uthane aayi ho ?
Sona – nahi nahi aunty ji… main to bas….
Ish – kachchi umar ka pyar barsati nalon ki tarah hota hai…..jisme zor bahot hota hai, par gehrai kuch bhi nahi… aur jin rishton mein gehrai nahi hoti wo tik nahi pate.
(ishwari you wait and see ki barsati naale me kon behta hai?)
Sona does not say anything.
Ish – mausmi rishton ka bhi yahi haal hota hai… barsaat khatm hote hi sukh jata hai.
S – mera pya koi mausam nahi hai aunty ji….. na hi koi phase… meri zindagi thi meri life thi… jo ab main kho chuki hoon…
I – sonakshi, tumne kuch nahi khoya hai… tumhari zindagi tumhare aage hai… tumhe jald hi koi mil jayega… jisse tumhari shadi hogi… jiske sath tum khush rahogi… aur do din mein ye sab kuch bhul jaogi tum…
Sona does not say anything but looks annoying.
I – tumne kuch nahi hara sonakshi…. Kuch nahi…
S – aur dev ne… unhone bhi kuch nahi hara…
Ish again left with no answer.
S – aap jante ho… dev mujhse pyar karte the… he loved me … par in sabse pehle to main unki dost thi… shayad achchi dost… eklauti dost… jiske sath wo sirf apna pyar nahi, apni khushi, apna bachpan… phir se jiya tha… unhone kuch nahi khoya ? ye sab bhi to piche hi chhot raha hai na ?
Ish is on silent mode.
S – aap unki life mein sabse important hain… aur aapse jyada pyar wo kisi se karte bhi nahi… khud se bhi nahi… isiliye ek second mein, bas ese hi sab kuch kurbaan kar diya.
Ish looks at Sona innocently as if she does not know anything.
S – unse achcha beta to kisi bhi maa ko mil nahi sakta… lekin us Maa ki bhi kuch responsibiliteis honi chahiye na… jese ki unke bete ki khushiyaan sambhal kar rakhna…
Ish looks completely blank.
S – in questions ke answers main nahi de sakti… kyunki maine wo game nahi khela na “DEV KISKA JYADA HAI?”… mujhe pata hai ki agar main khelti to… aap hi jitti.
Super shocking expression on ish’s face.
S – aaj agar aap jit bhi gayi ho to… hare sirf Dev…
Ish stunned.
Just then cherry on cake GKB Radha Rani enters.
R – bangalan… teri itni himmat ho gayi hai… tu hoti kaun hai… meri jiji se is tarah baat karne wali ?
I – bhabhi… rehne dijiye… dev ab uske sath nahi hai na… to shayad isi baat ka sadma laga hai use…
R – nahi jiji… aaj ise main, iski asli jagah dikha kar hi rahungi.
By saying this RR fills a glass of water and shows it to Sona.
RR – ye dfekh, ye glass pani se bhara hai (RR drinks some water and again shows it to Sona) bas… mujhe itna hi peena tha… ab ye mere kisi kaam ka nahi hai… ab main ise fenk dungi…usi tarah humare Dev ki zindagi mein jitna ras tujhe gholna tha, tu ghol chuki hai… jis tarah ye pani bekar hai na, usi tarah ab tumhari yahan koi jarurat nahi hai… samjhi tum… isiliye humare Dev ka peecha chhod do… aur wese bhi… is ghar mein tumhara koi nata nahi hai… tum yahan kaam nahi karti… to phir baar baar munh utha kar kyun chali aati ho yaha…
S – aap thik keh rahi hain aunty ji… mai yahan kaam nahi karti… isly aap dono ki baate sunna main jaruri nahi samjhti…
RR and Ish double shocked. ( zor ka jhatka haye zoron se lagaaaaaaaa)
S – wese bhi aap dono ne humare relationship ka majak hi udaya hai… do minute noodles… barsati naala… aur ye… ek glass pani… aisi baat kaun karta hai ? main yahan kyun aayi thi… ye maine bata diya… iske baad main yahan aaungi bhi nahi…
Sona moves but this irritating RR does not stop.
RR – bangalan… ab jab aayi hai to puri baat sun kar hi jaa… kis baat ka ghmand hai tujhe? Kya lagta hai tujhe… ki tere jane se humara dev toot jayega ? (ish looks at RR shocking;y), ya phir ye… ki tere piche piche uska sukh chain kho jayega? (ish is left with question mark), ya phir ye… ki teri yaadon mein use raaton ko nind nahi aayegi (ish starts thinking)… uska chain chala jayega… ya wo office ka kaam thik se kar nahi payega (ishwari, ab to hone wale disaster ko mehsus kar lo)… ladki apni galat fehmi bahar nikal… kyunki tere jane ke baad humara Dev bahot khush hai… wo apne ghar ko apne kaam ko bahot achche se sambhal raha hai… khub tarakki kar raha hai wo… aur wese bhi tera aur Dev ka to kabhi koi mel tha hi nahi… ab hum apne dev ke liye aisi ladki chunenge jo dev ke layak ho (ish is lost)… humari haisiyat ki ho… samjhi tum?
Tum ja sakti ho yahan se…
S – agar jo aapne abhi kaha wo sach hai… to aapse jyada khush main hoon… sabhi to dev ki khushi hi chahte hain na… lekin teen mahine ein jitna main dev ko jaan payi hoon, aap 28 saalon mein nahi jaan paye
Ish completely lost, shocked.
S – warna unse unki khushinahi chhinte… par main humesha pray karungi ki dev khush rahe… aur wo mujhe sach mein bhul jaye…
By saying this Sona leaves. RR fumes.
RR – picha chhuta isse.
On the road –
Dev is sitting in his car remembering his and Sona’s moments. Suddenly Sona knocks his car’s window. Dev looks at her as if he gets caught. Sona looking angry.
S – ab aap ghar ja sakte hain.
D – kyun? Meri gadi hai… main kahin bhi ruku…
S – par aap yahan nahi ruk sakte…
Dev comes out of his car.
D – kyun? Normal si road hai… kisi ki private property nahi hai… aur wese bhi main kisi ke liye koi problem create nahi kar raha…
S – aap hi ne kaha tha na… ki hume apne problems khud face karne honge…
Dev reminds when he said this.
S – to aap yahan… mere ghar ke paas aise chhup chhup kar kyun khade rehte ho ?
Dev on silent mode.
S – pata hai ye sab kaun karta hai…stalkers… jo ladi ki permission ke bagair unhe chhup chhup kar dekhte hain… unka picha karte hain… in logon ki wajah se ladkiyan safe nahi feel karti…
D – miss. Bose, main aapka picha nahi kar raha tha
S – aap ko khud pata hai ki aap kya kar rahe ho… 15-16 ke lade ki tarah behave karna band kijiye mr. dixit… just grow up… ( full of anger) aap yahan tak aa hi gaye ho to mere fiance Ritik se mil kar jaaiye… mera andar wait kar rahe hain… khud mil kar tasalli kar lijiye ki meri life mein aapke liya koi jagah nahi hai…
D – mujhe kisi se nahi milna ms. Bose… aur na hi koi tasalli karni hai…
S – fine
Sona starts moving.
D – aur wo jo koi bhi hai… main bas itna janta hoon ki aapki life mein meri jagah itni aasani se koi nahi le sakta… jo koi bhi andar aapka wait kar raha hai na… muje pata hai ki wo aapka fiance nahi hai… sagai nahi hui hai aapki…
S( o teri expression) – to aap sirf… mere ghar ke bahar mera picha nahi kar rahe… mera profile bhi check kar rahe ho… aur kahan kahan picha kar rahe ho mr. dixit? Aur kis HAQ se ?
Dev on silent mode.
S – aapne hi kaha tha na ki hume alag ho jana chahiye… aapnehum dono ke liye khud failsa liya… hum alag ho gaye… ab aap kya chahte hain ? ek kaam kar lijiye… jakar apni maa se pooch lijiye ki aapko kya chahiye… aapko to pata hai na ki wo mujhe bilkul pasand nahi karti… aur agar unhe pata chala ki aap yahan hain to kya hoga?
Dev shocked.
S(full of pain) – just go, mr. dixit.
By saying this Sona herself leaves.
Bose house –
Ritik is waiting for Sona. When he finds sona sad, he tries to cheer her up but no effect.
Dixit house –
Vicky is completely drunk at home. Dev scolds him. Dev is about to slap him but controls. Dev is hell angry so as mamaji. Mama, mami and ishwari come. Mami takes vicky inside. Dev goes upstairs.
ish – dev beta… beta… bahot thak gaya hai na tu… ja jaldi se hath munh dho kar aaja… maine tere liye halwa banaya hai…
D – mann nahi hai…
Dev leaves…
Ish takes sona’s anklet and does not want to keep it at home.
Bose house –
Sona shatters and share her sorrow with him. She keeps her head on Ritik’s shoulder and cry and Ritik silently consoles her in a good way.
Precap – Did not see.
So guys here is the detailed episode update… sorry for not writing nowadays… but I don’t feel watching now…
13 Comments
O MY GOD…di …thanq so much for the update ….maine abhi tak episode dekha bhi nhi tha ..but now I feel lyk cmplt episode is infrnt of me…
thank you so much for the update ..
Nice update…..
Thanks Asmita for posting detailed one ?and do u know in which episode Dev is showing a presentation and when he changes the slide it is written meet @8bunny actually I was missing Devakshi scenes so watching old episodes ??but I am not getting this scene of any one knows plzz tell ??
@8bunny Mujhe bhi samjh nhi aya. I think dev nay khud likha Kyun Kay wo sona ko khargosh kehta hai. Aab con firm nhi Kay main Sahi hon? ya nhi
I know that but I wanna see that scene do u know it was in which episode
Nhi Mujhe nhi pata yeh kon si episode main tha. Par yeh confession Kay baad wali episodes main tha na baarish main shyd beghane Kay baad wali
Thank u so much asmita for such a detailed review. Lagta hai poori episode sath sath dekh Kay likh rahi hain aap. ???? ishwari ka muh dekhnay wala tha aaj jab gkb Bol rahi thi. Agar woh akalmand hoti tou wahin samjh Jati Kay dev Kay liye kitni zaruri hai.
Beside the poisonous dialogues and comments of ishwari towards sona I liked the barsati nalay wala reply ❤️???
Once again thanks. Aab weekend Aram say guzar jaye ga Kyun Kay Monday tak no episode, so yeh episode phir review hogai ??
Go through it once ~
https://www.tellyupdates.com/kuch-rang-pyar-ke-aise-bhi-23rd-june-analysis/
Di plz give some time for this If u r free..we excited for analysis
Grt work u r back with A bang…. Awesome i expected tht today u wil surly give this analysis…. Coz episode thahi eisa full dhamakedhar dialogs ke sath…. Lol continue….
Nice to have ur detailed updates after soo many days..?
U r awesome and amazing asmita..
Plz keep on writing . I love devakshi and episodic detail of krpkab too.
English story telling is for world wide viewers…
after this serial may be many people can learn Hindi …
plz translate in English also