Recap: Dev Ishwari convince Sona that she should marry Dev.
Sona’s house :
Sona reaches back. She is in seventh heaven.
Ishwari’s words still in her mind –“ main yeh samajh gayi hoon aur bahut khush hoon ki mere Dev ko aise Jeevan sangani milne ja rahi hai to usko aur nikharti hai!!”
Dev ki baat- Sona yeh mera decision hai..humara decision hai..
Asha- Shona Shona- Ishwari ji ka phone aaya tha- who keh rahi thi ki agar Shona ready hai to woh aaj sham ko yahan aana chahti hain.. Shaadi ki baat karne..
Sona; what !! ma .. Hritik aur unke parivaar se to baat kar le.. itni jaldi
Asha : arey to teri haan to hai nah..pehle yeh to confirm kar..baki baatien tabhi to karenge.
Sona: (Serious) mujhe Hritik se baat karni paregi.
Asha : ussey pehle tu ek baar baba se baat kar le Shona!
Bejoy’s Room
Asha and Sona enter:
Sona: Baba mujhe aap se kuch kehna tha!
Bejoy : Haan beta , bolo , main sun raha hoo( expecting what he was about to hear, serious )
Sona : Baba , ma ne aap ko bataya na ki main Hritik se shaadi nahi karne chahati.(looking very uncomfortable )
Bejoy : kya iski wajah Dev ne jo tamasha kiya who hai?? Kya tum bhi un logon ki tarah kamzor par ke apne faisle lene lagi !! Dekha Asha burri sangat ka yeh asar hota hai!! Humari acchi khaasi strong Sona ko kya bana diya ( he is angry)
Sona : Baba burri sangat ka nahi par pyar ka asar hai baba. Kamzor to Dev bhi itne nahi hain par dekho engagement wale din kya kar bethe..par kabhi kabhi jab aap sahi decision sahi tareeke se nahi le paate to kuch ajeeb hone par hi sab kuch sahi hota hai !!
Pata nahi main jo keh rahi hoon who aap samajh rahe hain ya nahin..par Hritik se shaadi na karne ka decision Dev se shaadi karne ke decision se bilkul alag hai..
Ek taraf yeh to samaj aaya ki Hritik ke saath main aage nahi badh sakti par Dev ke saath kuch ho sakta hai..Woh decision to aaj hi hua- Dev aur unki ma se mil kar. Maine emotional hoke ekdum se decision nahi liya baba. Soch samajh ke Dev aur Auntyji ki baat sun ke hi agree kiya hai
Main janti hoon aap mujh se bahut pyar karte hain aur mere liye best chaahte hain..
issi confidence pe aaj main itna bada decision lerahi hoon baba ki meri khushi se badh kar aapke liye kuch bhi nahi hai..
aur baba –main Dev ke saath hi khush reh paongi.. itna sab hone ke baad bhi main unhe nahi bhool payi baba..
Bejoy: Jab tune yeh decision kar hi liya hai..to main kuch nahi bol sakta. Par main ek baar Dev se milna chaoonga. Asha ne baat ki hai par mujhe bhi usse baat karni hai.
Asha: ha maine Dev se baat ki t hi aur usne jald shaadi karne ki baat ki . actually maine hi usse 1 din ka time diya tha –issiliye shayad Ishwari ji ka phone aaya tha –aaj sham ko milne ke liye!
Bejoy: yeh baat tumne mujhe kal kyon nahi batayi.
Asha : ( smiles) maine socha –Sona to apna mind banaye .tabhi is baat ka koi matlab hai.
Sona: Ma aapne to unhe yeh decision lene ke liye pressurize nahi kiya na!
Asha: arey nahi baba.. maine to sirf yeh kaha tha ki jo bhi decision lena hai final karo aur kal tak batao..unhone hi mujhe ussi samay bola ki “ma main Sona se shaadi karoonga .aur mujhe koi time nahi chahiye iske liye”
Sona: “Ma!!” unhone tumhe ma bulaya ..
Asha : haan –aur mujhe uski baat main koi confusrion nahi laga ..maine phir bhi ek din diya usse ki woh apni maa se baat karle..tujhe mana le..jo ki usne kar liya (smiles)
Sona : smiles thinking about it ..then comes back to present..
Baba main Hrithik se milne ja rahi hoon.usse bhi to batana parega . (Bejoy sigh! and nods)
Asha and Sona –smile
(Calls up) Hritik , Hi , mujh aap se milna hai . zaroori hai. 1 ghante main coffee shop! Ok.
Asha : ghar hi bula leti .
Sona : nahi ma –mujhe unse akele main baat karni hai aure main aap sabko isme nahi involve karna chaahti . Yeh mera decision hai.Uske baad aapko aur baba ko bhi unke baba se baat karni paregi.
Sona in the coffee shop . Hritik comes
Hritik – Hi Sonakshi. Kaisi ho?
Sona – unable to meet his eyes- main theek hoon.aur aap aur aapke ghar par sab
Hrithik- haan bilkul theek to nahi hai..kafi tamasha ho gaya us din. How is Dev now?
Sona – theek hain. Discharge ho ke ghar aa gaye hain
Hrithik- tum ghar par milne gayi thi
Sona – main unko discharge karwa ke ghar tak chodne gayo thi.
Hritik – oh!! Aur ab tum theek ho
Sona- Hritik – main tumse shaadi nahi kar sakti
Hritik – what ??
Sona- haan Hritik , aap bahut hi acche insaan hain..aur aapne mujhe bahut support kiya .aap aur main bahut acche friends bhi ban gaye –par pyar – main aap se pyar nahi karti (she said slowly)
Hritik- tum mujh se pyar nahi karti ya Dev se pyar karti ho?
Sona – nods ,still looking down
Hritik – aur Dev – sirf pyar hi karta hai ya kuch aur bhi socha hain usne
Sona – Dev abhi keh rahe hain mujh se shaadi karenge , ma bhi maan gayi hain par is situation main yeh sab bahut dramatic lag raha tha.
Maine bhi 2 din liye yeh sab samajhne ke liye.. par is purey process main ek baat zaroor clear huyi- ki main move on to nahi kar payi hoon Hritik.
Dev se shaadi ki baat mujhe ab bhi dara rahi hai..believe nahi ho raha ki aisa ho sakta hai..darr hai phir se kuch na hojaye ..par aap se shaadi karne ke liye mujhe jaisa feel karna chahiye woh nahi hai
Hritik- par 2 din pehle tak to tum engagement aur shaadi ke liye jaldbaazi kar rahi thi
Sona – haan Hritik –main sach main apne past se bhagna chahti thi..is baat par yakeen karna chahti thi ki Dev ab meri zindagi main nahi hain..
Par kismet ko shayad yeh manzoor nahi tha!! Dev ne jo kiya usse jo tamasha hua who to hum sab ke liye embarrassing tha par isse 3 zindagi barbad hone se bach gayi.
Main unke action ko justify nahi kar rahi par ..shayad aisa kuch hone se yeh sab itni jaldi clear ho pata!!
Hritik: serious – gets up suddenly: Theek hai Sonakshi, main samajhta hoon! Mujhe abhi ghar chalna chahiye. Baba ko bhi to batana hai
Sona: gets up: and looks at him with guilt : aap naraz ho gaye .. aur kyon na hon.
hum sab ne aapki life ka bhi tamasha bana diya na (she is feeling uncomfortable).
par ek galat faisla hum sabki life ko kharab kar deta. Yeh baat shayad hum aasani se nahi par thode time main bhool jaye
par agar janam bhar ka galat rishta jud jata to hum saari zindagi yehi sochte ki ek mauka mila tha is galti ko sudharne ka aur humne usse gawan diya !!
Hritik: looks at her and smiles sadly..pata hai..aaj bahut stable aur calm ho.. maine apne itne dino ke rishtey main tumhara yeh roop nahi dekha
Shayad yehi indication hai ki tum jo keh rahi ho who theek hai ..
Tum se yeh choti si mulaqat mujhe zindagi bhar yaad rahegi !
Aur main bhi chahoonga ki tum mujhe khush ho ke yaad karo.
Good bye Sonakshi!!
Sona: Ritik ..hum ab bhi dost reh sakte hain. Maine aap main bahut accha insaan aur dost paya hai
Hritik: Nahi Sonakshi . I don’t think yeh sahi hoga. Main tumhe dekh kar is incident ko bhool nahi paonga aur Dev mere saath kabhi comfortable nahi honge! Is relationship ko yahin amicably close kar dene main samajhdari hai
Sona: Thank You Hritik .Main pray karoongi ki aapko ek bahut hi pyar karne wale life partner mile aur jald hi!! Good Bye .
Hritik Leaves.. Sona looks on..
Precap : Married Devakshi !!
10 Comments
Superb rocking finally sona smiled ???
Precap is super amazing ??
Post next one soon ??
Wow! Awesome episode.
Woooohoooooo finally they are getting married. Happy for them and awesome episode
Awesomeeee and i am in love with the precap??
Thanks so much for all the comments. I can see that very few people have put comments which is dissappointing but I also see that loyalist are reading and follwing up :)!!
Thanks friends .
Awesome .like the way you have done a closure. All ends have been brought together .
awaiting the next one as precap is super tempting ?
Wow.. awesome..
awesomeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee as always and the precap it was tooooooooooo gooodd pl. update asap
please write in english because i dont know hindi
could u pls write in english