Shivaay came to his house and unlocked the door.
S: (panicked) Anika! Anika!
He went from one room to another calling out her name but no response came and at last he came to kitchen and saw that Anika was laying on the tile floor. He ran to her and cupped her face.
S: Anika!
He lifted her in his arms and took her to their room and called a doctor immediately.
S: hallo doctor, Anika achanak behosh hogai hai, aap please jaldi se ajaiye.
Call disconnected. He rubbed Anika’s hands and feet.
S: agar tumhe kuchh hogaya na to main chain se jee nahi paunga, main bhi mar jaunga, mujhe tumhe chhor kar jana hi nahi chahiye, online job achhi rahegi, kam se kam main har waqt tumhare saath toh reh paunga. Tum meri aadat ho, apni aadat ko koi chhor kar bhala kaise jaye? Tum mujhe chhor k nahi jasakti, aaj nahi, kal nahi, kabhi nahi.
The doorbell rung and he got up and went to answer the door and saw the doctor on the door.
S: doctor chaliye main aapko batata hoon ke Anika kahan hai.
The doctor came inside and followed Shivaay to his room.
S: doctor ye rahi Anika, main us se phone par baat kar raha tha, achanak se response ana band hogaya, main aya to ye behosh thi.
Dr: relax, I will see what’s the problem.
He checked her heartbeat, pulse rate, blood pressure, temperature and breathe.
Dr: her heartbeat is a little low, pulse rate is also low, blood pressure is abnormally high, temperature is also high and her breathe rate is lowered.
S: lekin ye sab to apnay aap theek hojaye ga na agar thora sa kam stress liya jaye to?
Dr: stress to bilkul achha nahi hai inkay liye
S: vo sab to theek hai doctor lekin mujhe pata hai Anika jab hosh me ayegi to vo ek dum theek hogi
Dr: I appreciate the level of your hope, but I am prescribing medication for her, do make her have them on time
S: aray doctor ye sab normal hai, phir aap ye medication kyun..
Dr: dekhiye agar ye normal hota to inko vomit na hoti, look at her lips
Shivaay looked at her lips and wondered how he didn’t notice that.
Dr: main aapse keh raha hoon ye serious hai
S: par kya serious hai doctor? Baatein ghumane se kuchh nahi honay wala, jo sach hai vo sach hai, aap bataiye aakhir baat kya hai?
Dr: aapki dost ko brain tumor hai, or sach kahoon to in ka bachna bhi asambhav hai
S: (angrily) kya matlab hai ke Anika ke bachna asambhav hai, kuchh asambhav nahi hota, hum bas assume kar letay hain that’s it, impossible to khud kehta hai ke I m possible to phir kaise Anika ka bachna impossible hai? Anika jeeyegi, main usay sabse best doctor ke pas le jaunga, vo zaroor bachegi
Dr: I hope so, well just to remind that give the medication on time.
S: thanks for your help, aaiye doctor main aapko bahar chhor deta hoon.
Shivaay went and dropped doctor till outside and sat beside Anika.
S: main be keh to diya lekin kya sach mein main tumhari madat kar paunga? Kuchh nahi kaha jasakta ke zindagi k is safar mein khona kya hai or kya pana, koi nahi kehsakta ke kal ko kya hona hai, har khushi k saaye mein gham hain, dunia k saamne to muskura loonga lekin akelay mein to wohi aansu hongay, jab tak ye tumour door nahi hoga, mera har pal dil ghabrata rahay ga.
Abhi mujh mein kahin
Baaqi thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi
Jaana zinda hoon main toh abhi
Kuch aisi lagan iss lamhe mein hai
Ye lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne
Issey chhoo loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa Khushiyaan choom loon
Yaa ro loo’n:'(zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
(He only felt pain at the moment)
Ho o. abhi mujh mein kahin Baaqi thodi si hai zindagi
Ho. dhoop mein jalte huey tann ko, chhaya perh ki mill gayee Roothe bachche ki hansi jaise, phuslaane se phir khill gayee Kuchh aisa hi abb mehsoos dil ko ho rahaa hai
Barso’n ke puraane zakhm pe marham laga saa hai
Kuch aisa rahem, iss lamhe mein hai
Ye lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne
Issey chhoo loon zara
Mar jaaoon ya jee loon zara Khushiyaan choom loon
Yaa ro loo’n zaraa
Mar jaaoo’n yaa jee loon zaraa
(He recalled his moments with Anika)
Dor se tooti patang jaisi, thi ye zindagani meri
Aaj ho kal ho mera naa ho
Har din thi kahani meri
Ik bandhan naya peechhe se abb mujhko bulaaye
Aane waley kal ki kyun fikar mujhko sata jaaye
Ik aisi chubhan iss lamhe me hai
Ye lamha kahaan tha mera aa Ab hai saamne Issey chhoo loon zara
Mar jaaoo’n ya jee loon zara Khushiyaan choom loon
Yaa ro loo’n zaraa
Mar jaaoo’n ya jee loon zara
Anika woke up and Shivaay smiled and hugged him.
A: kya hogaya Shivay? Tum kiun itnay ghabraye huay ho? Aisa kya hogaya?
S: vo main tumhe sab batata hoon lekin pehle tum batao tum kaise behosh hui?
A: main tum se baat kar rahi thi, achanak headache hua bohat zor ka, sweating honay lagi, mera vision kamzor honay laga, main bol nahi paai, lekin ab main bilkul theek hoon.
S: kya theek ho? Aray doctor kehraha tha k tumhe brain tumour hai brain tumour, iska matlab samajhti ho tum? You are near to death.
A: Shivaay tum bhi na, ye doctor hai koi Bhagwan nahi, usne daawa thori kiya hai, mujhe kuchh nahi hoga, mujhe pata hai tum mujhe kuchh nahi honay do gay, tum dekhna Shivaay God hai na mujhe niraash nahi karengay, mera bharosa un par zaroor jeetay ga
S: Anika agar God hota to ye tumhe kabhi nahi hota
A: (sigh) to theek hai Shivaay, main bhi dekhti hoon k kya jeet’ta hai, mera God par trust ya phir tumhara ye pride k jiski waja se tumne God ki taraf kabhi palatna nahi chaha, unse nahi dusro se help maangi, unho ne tumhe itna kuchh diya or tumne kabhi unhay thank you tak nahi kaha? Kitni ajeeb baat hai na Shivaay, main maut k munh mein hoon lekin phir bhi mera trust wohi hai or tumhari ek hi lifeline jo main hoon, uske liye bhi tumne pray nahi kiya, Khair mai kya karoon? Mai khana lagati hoon.