Lakshman Urmila are in of sheshnag nagalakshmi. They are not remember like Ram Sita,their sacrifice is not less, what they did for their siblings is unexplained but I want to dedicate a poem to them, sorry if you feel poem is not good, actually I am taking hints from various poems
Sita sahit shri Ram Lakhan
Rehne lage the jakar van
Par Urmila Lakshman patni
Bechain thi mehlo mein kitni
Har jagah tha sunapan
Nahi lagta tha Apnapan
Har swash Lakhan ko pukarti thi
Kaise wo samay gujarti thi
Bhari tha uska har ek pal
Man nirash dil mein halchal
Vah phulon si najuk kali
Chal rahi thi virah ki gali
Kitne arman lakshman sang phere liye
Par kismat ne kya uphar diye
Dono mein tha aisa bandhan
Jaise sang khushbu aur chandan
Jaise nagalakshmi sheshnag dulari
Waise thi wo pati ko pyari
Roti nahi piya ko diya vachan
sochti rehti man hi man
vah yad kar rahi pehla milan
jab dekh raha tha use Lakhan
akhein thi uski jhuki hui
piya ke pairon pe ruki hui
Kya yahi tha wo pehla milan
Jab harshit the dono ke man
tino Kaise rehte honge
sab kashto ko sehte honge
pairon mein pade honge chhale
koi lal to koi kale
Kaise rehte honge piya
Jiske sang ram aur siya
unhi ki rehti wo
sare dukh sehti wo
siya jaisi sanyasini
uske jaisi tapasvini
char behnein ek hi jaisi
van ki sanyasan ho jaisi
kyon nahi khushi se wo reh payi
Jis khushi byah kar aayi
Chitrakari ki priyasi
vah thi vidushi
14 Sal bit gaye
Piya uske laut aaye
Dono ka Hua madhur milan
Jaise diya bati ka sangam