Fan Fiction

Vaishno Devi Diaries – An Untold Story (OS)

Hey guys! Samayra is back! I had said that as soon as I get a nice idea I will surely write an OS!
I didn’t expect it to be this soon…but all thanks to our makers who have brought back the one and only KHATRI. So here I’m penning down a “serious OS”……YES GUYS….THIS OS IS REALLY SERIOUS….DONT YOU DARE LAUGH…?.

******let’s get started******

The pain of separation and the loneliness that follows is something that can be understood only by those who have actually experienced it.
When you love someone with all your heart you loose yourself to that person. Your happiness, your sorrow, your desires, your expectations , its all clinged to that one person who literally becomes your world.
Sometimes we do realise whom we love and some people are lucky enough to be loved back. But every person does not have a fate that beautiful when it comes to his or her love life. May be because some people fail to realise their love while some fail to express it….there are also people who think that they love someone… But actually love someone else.

Whatever might be the story…if you are separated from your loved one…at the end of the day…..you’re broken….all alone…

If you are wondering I’m talking about Devakshi…….then you surely did not notice that there is one more person in Kuch rang pyaar ke aise bhi….who is the loneliest of all…..its ISHWARI DIXIT my friends…. The one and only MAA……EK AKELI ABLAA NAARI…..EK BECHAARI MAA…..

Ishwari had gone to Vaishno Devi a few days back with her brother….and is not yet back…..let’s see what she has been conversing with god all alone at the holy shrine…..bolo jay maata Di…??

**the rest is ISHWARI’S POV**

Bhagwaan tu toh jaanta hai sirf tera hi sahara hai Mujhe……inke (Mr. Dixit ke) guzarne ke baad main kitni akeli ho gayi thi Yeh baat kisi se nahi chhupi hai…. Bhaiya Mujhe apne ghar toh le aaye…..par mera akelapan door nahi ho paya…..4 baccho ki maa se shaadi bhi kaun karta….main toh bilkul toot hi gayi thi……bijoy ke paas ja nahi sakti thi…kyunki woh toh Kolkata ja chuka tha….shaadi bhi kar li hogi usne….Yeh soch kar mera dil baith jaata tha…..par phir ek din ek khayal aaya….KHATRI…woh toh yahi hai….usne toh ab tak shaadi bhi nahi ki…..woh kitna pyaar karta tha Mujhe…..jaan chidakta tha mujhpe…woh aaj bhi mujhse utna hi pyar karta hoga……???

Yahi soch kar ek din main khatri ke ghar gayi….Kuch Paise maangne ke bahane….khatri naraz tha…

I: Mujhe maaf kar do….Main tumhaare pyar ko kabhi samajh hi nahi paayi…
(Plz forgive me…I never realized how true your love was)
K: main Tujhse koi pyar nahi karta….chali ja yaha se….tera manhood chehra nahi dekhna hai mujhe
(I don’t love you …..just get lost)
I: aise mat bolo….keh do ki aaj bhi main tumhari ishu hu…aur apna lo apni ishu ko..
(Plz don’t say that… I’m your ishu just accept me)
K: ISHUUUU…..hain?…..waah bhai waah….MAA BANI ISHU……Yeh toh breaking news ho gayi ji…..chapwaa du akhbaar mein.?….Badi aayi “Ishu”…..jaati hai yaha se ya police bulwaayu…
(Ishu??….when did maa become ishu…breaking news ..ya….get it printed in the newspaper…. Get list or I’ll just call the police)
I(to herself): Arre yaar Yeh toh full to badal gaya……ab kya karu??….mmmm……haan Paise udhaar le leti hu ….aur lautaungi nahi…..phir toh roz mujhse Milne aayega…..oh Ishwari tu kitni smart hai yaar…??
(He’s changed….what to do now….let’s ask him for some money…..if I don’t return it he’ll keep coming to me asking for it….oh Ishwari you are too smart)
I: Dekhi khatri pyar nahi karte toh na sahi…. Par main aaj Jis mod par khadi hu…waha se Mujhe Aage koi raasta nahi dikh raha…..mere chaar chaar bacche hai…..par unhe paalne kW liye Paise nahi hai….khud toh bhookhi so jaaungi….par apne baccho ko kya khilaungi???
(Khatri I’ve 4 kids but no money to feed them…I cannot make them sleep with an empty stomach)

*khatri, though was a rowdy brat..but he had a soft corner for such underprivileged people… He could not stop himself from helping ishwari after listening to her dukh bhari kahani*
K: Bas kar pagli…rulayegi kya…?? ….Yeh le jitne Paise hai mere paas sab lele….par apne baccho ko bhukha mat sone dena….
(Take all the money that I have just don’t let your kids sleep hungry)
I: main kaise tumhara ehsaan chukaungi….
(How will I ever be able to pay for this help)
K: tu chinta mat kar….jab bhi tere paas Paise ho…tab aaram se lauta dena….theek hai?
(Don’t worry whenever you get money…you return my money…..till then no worries)
I: dhanyawaad…chali hu main…(thank u n bbye)
K: chal dhyaan rakhna….(ya tc)

Kahi mahine beet gaye….par woh Paise lene nahi aaya…..shayad ab woh kabhi na aaye….bahut yaad aati hai uski …..shayad pyaar ho gaya hai Mujhe usse…..jab bhi uske baare mein sochti hu….background mein music banne lagta hai …..
?yeh mausam ki baarish…
Yeh baarish ka Paani
Yeh paani ki boondein
Tujhe hi toh dhoondhein
Yeh Milne ki khwahish
Yeh khwahish purani
Ho poori tujhi se
Meri Yeh kahaani…??

Dil ki dhadkan badh jaati hai……saansey tea ho jaati hai….aur Mujhe CHAKKAR aa jaata hai…..?…..aur is dev ko lagta hai ki meri tabiyat kharab hai….uffo kya karu in jazbaato ka….?

20 saal baad aaj dev safalta ki uchaaiyon pe hai……humara ek bada sa ghar hai ….saari khushiya hai par main ab bhi akeli hu….khatri tum kab aaoge…?

**woh aa gaya….dekho woh aa gaya…
Yes so finally khatri has come back to take his money from Ishwari… Becoz now she isn’t poor anymore… And dev is super rich to pay back the loan his mother had taken….but Ishwari is in no mood to return the money….becoz if she does so….khatri usse Milne nahi aayega na..??….that’s why she hasn’t told dev about the loan ……dev thinks that khatri is just stalking n troubling his mother**

Ek din bazar mein achanak woh mere saamne aa gaya.
K: ishwari mere Paise kaha hai?
(Where’s my money)
I: main bas lautane hi waali thi
(I was just about to return)
K: kab lautane waali thi?….Yeh khatri ke Paise hai….Jio ka sim nahi ki jab tak jee kare choose lo…..chal Lauta mere paise ….abhi k abhi..
(When were you going to return …I want it now)
I: abhi kaise De sakti hu….dev toh ghar pe nahi hai….jab woh wapas aayega tab usse bol kar lauta doongi….waada karti hu
(When dev will come home ..I’ll ask him and return your money I promise)
K: apna waada yaad rakhna…. Warna tu jaanti hai khatri kya kar sakta hai…..roz aaunga main….chhodunga nahi…
(You better remember your promise….I’m not gonna leave you)
I:(to herself) main bhi toh yahi chahti hu….ki tum Mujhe kabhi na chhodo..
(I never want you to leave me)

Jaise hi main khatri se Milne ghar lauti…mere dil ki dhadkan phir badh gayi….saanse phir tezz ho gayi aur Mujhe phir se chakkar aa gaye….?
Aur Yeh dev mere liye nutrition le aaya….ab Isse kaun samjhaye….Mujhe nutrition ki nahi…..khatri ki ZAROORAT hai…

**so din beete…mahine beete par khatri ko uska paisa nahi mila…..for obvious reasons….usne ishwari ko chhote bakse waale raaz ki dhamki bhi Di….par ishwari toh dheeth ki dheeth hi hai………Paise toh woh nahi dene waali……tang aakar khatri ne haar maan li….aur Isse Kahi door chala gaya…..bahut door….shayad….bhimbetka ki gufaaon mein….?**

Khatri achanak Kahi gayab ho gaya…..main ek baar phir akeli pad gayi…..meri tanhaayi…Mujhe andar hi andar khaaye ja rahi thi……
Is sab ka gussa Mujhe Kahi toh nikalna tha…..nahi toh main apne akelepan ke bojh ke tale mar jaati…..
Pehle toh Mujhe tasalli thi ki sirf main hi akeli nahi hu is ghar mein….dev bhi hai…..par usne toh shaadi kar li…..ab woh bhi single se dual sim ho gaya…..ek main hi bachi thi…. Akeli……mujhse uski khushi dekhi nahi gayi…..Arre maa ke akele rehte….beta dukela kaise ho sakta hai……isliye….Maine dev aur sona ko alag karwa diya…..aaaahhh….kya chain mila Mujhe…..ufff ……
Shabdon mein bayan nahi kar sakti….

Aaj saat saalon baad Dev aur sona phir ek doosre ke paas aa rahe hai….?….is baar unhe koi alag nahi kar sakta…aur main aisa karna bhi nahi chahti….kyunki Mujhe suhana ki chinta hai…..??…uss bacchi mein Mujhe apna bachpan dikhta hai….main bhi usi ki tarah sundar aur smart thi. ….??

Par mera akelapan…..khatri ki yaad Mujhe be chain kar rahe hai ……aur sabko lagta hai….main devakshi ki nazdikiyo se insecure feel kar rahi hu……
Sacchai toh Yeh hai ki…..khatri ki 100 watt ke bulb se bhi chamakdaar aankhe..?…..uske hothon pe bichhi chatayi jaisi uski moochein..?….uska oont jaisa lamba kadd….Haaye meri toh aankhein taras gayi hai usse dekhne ke liye..
Har pal dimaag mein ek hi gaana chala rehta hai……
Dil kya kare jab kisi se…. kisi ko pyaar ho jaaye
Jaane kaha kab kisi ko….kisi se pyaar ho jaaye.

Jab bhaiya ne kaha vaishno Devi chalte hain….toh Mann mein ek aas jagi ki shayad aap meri sun lo……..ab bhaiya ke saamne toh khatri ke baare mein aapse baat nahi kar sakti thi…..isliye bhaiya ko suhana ka bahana deke yahi ruk gayi…..
Ab aap aur main akele hai……plz meri mannat poori kar dijiye bhagwaan….plz…???
Plz khatri ko meri zindagi mein wapas le aayiye…….main wada karti hu devakshi ko kabhi laga karne ki koshish nahi karungi….
Bas mera khatri Mujhe lauta do ma…..mera khatri Mujhe lauta do…???

*********************

P.S. wapas ja ishwari aa gaya hai tera khatri..
So friends now you know ishwari ki saari sacchai…..plz comment n lemme know what you think about it….silent readers ….kabhi toh comment kiya karo…love you..

Share